(a)
Dhoop mein niklo ghataao mein naha kar dekho
Zindagi kya hai kitaabo ko hata kar dekho
Wo sitara hai chamakne do youn hi aankhon mein
kya zaroori hai use jism banaakar dekho
pattharo mein bhi zubaan hoti hai dil hote hain
apane ghar ki dar-o-deewaar saja kar dekho
faasla nazaro ka dhokha bhi to ho sakata hai
Wo mile ya na mile haath barha kar dekho
-Nida Fazli
(b)
Main roya parades mein bhiga maa ka pyaar
Dukh ne dukh se baat ki bin chitthi bin taar
Chota karke dekhiye jiwan ka vistaar
Aankhon bhar aakash hai baahon bhar sansaar
Leke tan ke naap ko ghoome basti gaanv
Har chaadar ke gher se baahar nikle paanv
Sabki pooja ek si alag alag har reet
Masjid jaaye maulvi koyal gaaye geet
Pooja ghar mein moorti mira ke sang shyaam
Jiski jitni chaakri utne uske daam
Saaton din bhagawaan ke kya mangal kya pir
Jis din soye der tak bhookha rahe fakir
Achhi sangat baitha kar sangi badle roop
Jaise milkar aam se meethi ho gai dhoop
Sapna jharna neend ka jaagi aankhein pyaas
Pana khona khojna saanson ka itihaas
Chaahe geeta vaachiye ya padhiye quraan
Mera tera pyaar hi har pustak ka Gyaan
Labels: Inspirational shayaries, Nida Fazli
(c)
Jeewan kya hai chalta phirta ek khilona hai
Do aankhon mein ek se hansna ek se rona hai
Jo ji chaahe wo mil jaaye kab aisa hota hai
Har jeevan jivan jeene ka samajhota hai
Ab tak jo hota aaya hai wo hi hona hai
Raat andheri bhor suhani yahi zamaana hai
Har chaadar mein dukh ka taana sukha ka baana hai
Aati saans ko pana jati saans ko khona hai
Labels: Inspirational shayaries, Zindagi
(d)
Sapne bhi Kabhi Dushwaar Hua Karte Hain,
Saaye Bhi Raah Ki Diwaar Hua Karte Hain
Woh Jo Sach Bolte Rahne Ki Kasam Khate Hain,
Woh Adaalat Mein Gunaahgaar Hua Kare Hain ....!!
Sirf Haaton Ko na Dekho Kabhi Aankhein Bhi Padh lo,
Kuch log Bade Khudaar Hua Karte Hain ....!!
Woh Jo Patther Youn hi Raste Mein Pade Rahte Hain ,
Un Ke Seene Mein Bhi Shaahkaar Hua Karte Hain ....!!
Subaha Ki Pahli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai ,
Woh Sitaaron Ke Azadaar Hua Karte Hain ....!!
Jin Ki Aankhon Mein Sada Pyaas Ke Sehra Chamke ,
Der Haqeeqat Wohi Funkaar Hua Karte Hain
Sharam Aati Hai Ke Dushman Kise Samjhe ,
Dushmani Ke Bhi To Meyaar Hua Karte Hain ....!!
(e)
Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho
Ye Zindagi To Hai Rehmat Ise Sazaa Na Keho
Na Jaane wo Kaun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho
Wo Saath chor Gaya Hai To Bewafa Na Kaho
Tamaam Shehar Ne Nazron Pe Kyon Uchaala Mujhe
Yeh Ittifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na Keho
Yeh Aur Baat Ke Dushman Hua Hai Aaj Magar
Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Keho
Humare Aaib Humain Ungliyon Pe Ginwaao
Humari Peeth Ke Peeche Humain Bura Na Keho
(f)
Rah-e-talab mein jazba-e-kamil ho jiske saath
Khud dhoondti hai uss ko manzil kabhi kabhi
Pate hain khuch gulab paharon pe parwarish
Aati hai pattharon mein se khushboo kabhi kabhi
+---------+
Tum besahara ho to kisi ka sahara bano,
tumko apne aap hi sahara mil jayega
Dubti hui kashti ko pahucha do kinare pe,
Tumko apne aap hi kinara mil jayega
+---------+
Dil-e-nadaan dhuaein dhoondhta hai kya
Nam aankhon ke saaman aur bhi honge
Raakh se kya yeh dil bahel paayega
Yahan aag ke toofan aur bhi honge
+---------+
Nazar badal ke dekho,nazaare badal jaayenge,
Soch badal ke dekho,sitare badal jaayenge,
Kashtiyan badalne ki kya zaroorat,
Dishayein badal ke dekho, Kinare badal jaayenge.
+---------+
Geeta padne se gayan nahi hota
Pather ko poojne se wo bhagwan nahi hota
Pather to Is liye pooje jaate hai DOSTO
Ke poojne ke layak koi INSHAN nahi hota
Colou illusion
-
আমাদের চারপাশের সবকিছুই রঙিন, কিন্তু কখনো কখনো আমাদের দৃষ্টি ভঙ্গির কারণে
একই দৃশ্য কারো কাছে মনে হয় রঙিন, কারো কাছে ধূসর আবার কারো কারো কাছে সেই
একই...
15 years ago
0 comments:
Post a Comment