Tum ye kaise judaa ho gaye ,Har taraf har jagah ho gaye
Apna chehra na badla gaya ,Aaine se khafaa ho gaye
Jaane waale gaye bhi kahaan,Chaand sooraj ghata ho gaye
Bewafa to na wo the na hum ,Yun hua bas judaa ho gaye
(b)
Jaane kyon is jahan mein aisa hota hai,
khushi jise milni chahiye gham usiko hota hai,
Umar bhar sath nibha na sake jo ,
jaane kyon pyaar usi se hota hai!!
...
Koi to dost meri zindagi main aisa ho!!
Mohabbaton ki tarah ho wafao jaisa ho,
Meri talash ki had us pe khatam ho jaaye,
Zameen pe ho magar aasman jaisa ho !!!
...
Wo aa to jaaye magar mera intezaar hi kam hai,
Wo bewfaa nahi magar mera pyaar hi kam hai
Main kaise maan lu us par asar hi na ho
Ye dil tadpata rahe aur use khabar hi na ho
Ye dil khuda ki kasam bekaraar hi kam hai
....
Aye chand tu unko mera paigaam keh dena,
Khushi ka din aur hasi ki shaam keh dena.
Jab wo dekhe tujhe bahar aakar,
to unko mera salaam keh dena.
.....
Jo Tune Diya Usse Hum Yaad Karenge,
Har Pal Tere Milne Ki Faryaad karenge.
Chale Aana Jab Kabhi Khayal Aaye Mera,
Hum Roz Khuda se pehle Tujhe Yaad Karenge.
(c)
Bewafaa woh nahi hum hi kharab the,
zeher ki zarurat nahi mar jayenge sharab se.
Kaante mehsus hi nahi hue kyonki,
pyar hi itna tha us Gulab se.
+==========+
Na Misaal milegi Tere Husn ke is Kayanat me,
Tu itni kashish bhari Khoobsorti kahanse Le aayi hai
Labo pe Maikhane, Aankho me Paimane,
khuda Jane Aaj kis kis ki Shaamat Aye Hai
+==========+
Lamhe judaii ke bekarar karte hain
Haalat mere mujhe laachar karte hain
Aankhe meri pad lo kabhi
Hum khud kaise kahe ki aapse pyaar karte hain
...
Ke rishta nahi koi tere mere darmiyaan gar
To kyon aag lagti hai tere thikaane
Aur dhuan uthta hai mere ghar
...
Zakham itne gahre hain, izhaar kya kare
Hum khud nishaana ban gaye,Waar kya kare
Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen
Ab is se zyaada unka, intezaar kya kare
...
Khabar Mere Marne Ki, Sunte Hi Dekho
Woh Haaton Mein Mehendi, Rachaane Lage Hai
Safar Aakhri Hai, Koi Unse Kehde
Janaaza Mera Sab, Uthaane Lage Ha
(d)
Chup chaap aate hain aur chale jaate hain
Is naacheez se kya khta huyi hai
ke ek baat bhi nahi farmaate hain
Ab to aalam ye hai ke hum sochte hain
Aajkal aap hume kuch jyada hi aazmaate hain
.....
rahne de aasma jamin ki talaash kar,
sab kuchh yahi hai na kahi aur talaash kar,
har aarjoo puri ho to jeene ka kya maza,
jeene ke liye bas ek kami ki talaash kar
.....
Jana kaha tha aur kaha aa gaye,
Duniya mein ban kar mehman aa gaye.
Abhi to zindagi ki kitab puri padhi bhi nahi,
aur jane kitne imtehan aa gaye.
.....
Duniya ka hr shauk pala nahi jata,
Kanch ke khilono ko yu uchala nai jata.
Mehnat karne se mushqile ho jati hain aasaan,
hr kaam taqdeer pe dala nai jata.
.....
Jo Kal tha,usey Bhoolkar to dekho,
Jo Aaj hai,usey Jeekar to dekho.
Aanewala pal khud hi Sawar jaayega,
Zara aise Zindagi ko Jeekar to dekho.
...
Dete Ho Kyun Dard Bus Humi Ko ?
Kya Samjhoge Tum In Aankhon Ki Nami Ko
Yun Toh Honge Lakho Deewane Is Chand Ke
Chand Kya Mehsuss Karega - Ek Taare Ki Kami Ko ?
.....
Patjhad ke baad hi aate hain din bahaar ke
Jeena kya hai yaaro zindagi se haar ke.
Nafrat ke liye jiye to kya jiye
Zindagi vo jo kat jaaye pyaar se.
.....
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq main har gam pe rona aaya…
Jab hua zikar zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-nakaam pe rona aaya…
....
Yaad Aane wale yaad aaye ja rahe hain
mere khayalon ki duniya par chhaye ja rahe hain.
Hum kuch keh nhi rahe hain par wo chhup hain
bas mera Scrap padh kar muskuraye jaa rahe hain.
....
Ye dard kehta hai inn aansuo mein doob jaane ko,
Kya aur koi mumkin rah nahi tere paas aane ko,
Ki lamha lamha jiye the hum aashiyan e dil banane ko,
Aur ab katra katra jiye jaate hai kudh ko mitane ko
....
bhar aayi wo aankhen jo tera naam na aaya,
ishq nakaam hi sahi fir bhi kaam aaya,
humne ishq mein aisi bhi guzaari hai raatein,
jab tak aansu na bahe,dil ko aaram na aaya.
(e)
Aye chand tu unko mera paigaam keh dena,
Khushi ka din aur hasi ki shaam keh dena.
Jab wo dekhe tujhe bahar aakar,
To unko mera salaam keh dena.
..
Wo aa to jaaye magar mera intezaar hi kam hai
Wo bewfaa nahi magar mera pyaar hi kam hai
Main kaise maan lu us par asar hi na ho
Ye dil tadpata rahe aur use khabar hi na ho
Ye dil khuda ki kasam bekaraar hi kam hai
...
Koi to dost meri zindagi main aisa ho!!
Mohabaton ki tarah ho wafao jaisa ho,
Meri talash ki had us pe khatam ho jaaye,
Zameen pe ho magar aasman jaisa ho !!!
.....
Zakhm itne gahre hain, izhaar kya karen
Hum khud nishaana ban gaye Waar kya karen
Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen
Ab is se zyaada unka intezaar kya karen
....
Khabar Mere Marne Ki Sunte Hi Dekho
Woh Haaton Mein Mehendi Rachaane Lage Hai
Safar Aakhri Hai Koi Unse Kehde
Janaaza Mera Sab Uthaane Lage Hain
.....
Jane kyon is jahan main aisa hota hai,
khushi jise milni chahiye gham usi ko hota hai,
Umar bhar sath nibha na sake jo ,
jane kyon pyar usi se hota hai!!
+----------+
Hum Dosti ka farz yuhin nahi nibhaate rahenge,
Waqt bewaqt aapko sataate hi rahenge,
Dua karo ki umar lambi na ho humaari,
Warna yaad banke aapko rulate hi rahenge
+----------+
Jo Tune Diya Usse Hum Yaad Karenge,
Har Pal Tere Milne Ki Fariyaad karenge.
Chale Aana Jab Kabhi Khayal Aaye Mera,
Hum Roz Khuda se pehle Tujhe Yaad Karenge.
(f)
Tum na aao to intezaar aao to shikayat hai
Mohabbat ki kaisi yeh bewaja riwayat hai
Na milne ki khushi hai na judaai mein sukoon
Khud apne dill se ki humne kaisi yeh bagawat hai
+----------+
Meri zindagi ka sahara nahi hai,
Is jahan mein koi humara nai hai.
Pakda unka daman to woh haskar bole,
Chhod ye daaman tumhara nahi hai.
+----------+
Dhokhe mile hain itne ke ab aajmana chod diya,
Aansu se dosti huyi to muskrana chod diya,
Hum nahi aate, humari yaad hi ayegi ab,
Maine in tanhaiyo se door jana chod diya
......
Shakhs ek wo bhi tha jis se Haal mere dil ka suna nahi gaya,
Par mere saath fir bhi sapno ka sansaar buna nahi gaya,
Aur aayi jab baari apne dil ki baat sunane ki,
Maang ke maafi keh gayi,jaane kyun mujhse tu chuna nahi gaya.
........
Pyaar aa jata hai aankho me rone se pehle
Har khwaab toot jata hai sone se pehle,
Ishq hai gunaah yeh toh samajh gaye,
Kaash koi rok leta yeh gunaah hone se pehle
........
Zindagi mujhse youn daga na kar
Main zindaa rahu bin uske yeh dua na kar
Dekhta hai use koi to hoti hai jalan
Aye hawa tu bhi use chhua na kar
(g)
Sau dard hain aur sau rahatein,
Sab mila dilnashee ek tu hi nahi
Behta hai paani behne de
Waqt ko yunhi rehne de
Dariya ne karwat li hai to saahilon ko sahne de
Sau hasratein aur sau aahein par tera ghum nahi
......
Har ek aarzoo ko anzaam
Aur har ek jazbaat ko jubaan nahi milti
Muskaan banaye Rakho to duniya hai saath
Warna Yaha to aansuo ko bhi aankh me pahchaan nahi milti
..........
Aye khuda agar yeh sach hai
Ke pyar me tera wajood nazar aata hai,
Toh phir kyun toot jaate hai dil
Aur khud tera wajood bikhar jata hai!!
............
Milke bichadna dastoor hai zandagi ka,
Ek yahi kissa mashhoor hai zandagi ka,
Beete huye pal kabhi laut kar nahi aate,
Yahi sabse bada kasoor hai zandagi ka
...........
Mat poochh mere sabr ki inteha kahaan tak hai
Tu sitam kar le tu zaalim jahaan tak hai
Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi
Humein toh dekhna ye hai ki tu kaatil kaha tak hai
.......
Bheegi palko ko phir hasna sikhana hai
Iss zindagi ka bus itna faasana hai
Khamoshi ki zuba hai,aankhon ki kahani hai
Meri ye halat mere apno ki meharbani hai
Colou illusion
-
আমাদের চারপাশের সবকিছুই রঙিন, কিন্তু কখনো কখনো আমাদের দৃষ্টি ভঙ্গির কারণে
একই দৃশ্য কারো কাছে মনে হয় রঙিন, কারো কাছে ধূসর আবার কারো কারো কাছে সেই
একই...
15 years ago
0 comments:
Post a Comment