Small journey

ছোট ছোট ঢেউ জুড়েই সুনামীর সৃষ্টি হয়

মির্জা গালিবের শের

(a)
Koi umeed bar nahi aati,
koi surat nazar nahi aati

Maut ka ek din muyayan hai,
Neend kyun raat bar nahi aati

Aage aati thi haal e dil pe hasi,
Ab kisi baat par nahi aati

Hai kuch aisi hi baat jo chup hai,
Warna kya baat kar nahin aati

Daag-e-dil gar nazar nahi aata,
Bu bhi ae charagar nahin aati

Hum wahan hai jahan se humko bhi,
Kuch humari khabar nahin aati

Marte hai aarzo mein marne ki,
Maut aati hai par nahin aati

kaaba kis munh se jaoge 'Ghalib',
sharm tumko magar nahi aati...

(b)

Patta patta boota boota haal hamara jane hai.
Jane na jane gul hi na jane baagh to sara jane hai.

Charagari beemari ye dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahi.
Warana dilbar-e-nadaan bhi is dard ka chaara jane hai.

Meher-o-wafa-o-lutf-o-inaayat ek se waqif in me nahi.
Aur to sab kuchh tanz-o-qanaya ranj-o-ishaara jane hai.

(c)

Kuch aur hi aalam, nazar aata hai jahaan kaa
Kuch aur hi naqsha hai, dil o chashm o zubaan kaa

Kaisa falak, aur mehar-e jahaantaab, kahaan kaa
Hoga dil-e betaab, kisi sakht jaan kaa

Abb mehar mein aur barq mein kuch farq nahi hai
Girta nahi, usro se ! Kaho barq nahi hai

(d)

Zehar-e gham kar chuka tha mara kaam
Tujh ko kis ne kaha ke ho badnaam

Main hi phir kyon na maiy piye jaaoon
Gham se jab ho gayi ho zeest haraam

(e)

Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak..
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ..

daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahang..
dekhain kya guzre hai qatre pe guhar hone tak..

aashiqee sabr talab aur tamanna betaab..
dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hone tak...

ham ne maana ke taghaful na karoge..lekin
khaak ho jaayengay ham tumko khabar hone tak..

partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem..
main bhee hoon ik inaayat ki nazar hone tak..

yak_nazar besh naheen fursat-e-hastee ghaafil..
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak..

gham-e-hastee ka asad kis'se ho juz marg ilaaj..
shamma'a har rang mein jaltee hai sahar hone tak..

0 comments:

Me

Me

About this blog

Hello

This is Fahmida. You may imagine me as a five feet white ball. Completed MBA in Management . ভাললাগে গ্রাফিক্সের টুকিটাকি। শখ ছিল ফটোগ্রাফার হবো কিংবা সাংবাদিক। হইনি কিছুই। পেশায় ব্যাংকার। জন্ম উত্তর বঙ্গে। বসবাস দক্ষিণে। মাঝে মাঝে এক আধটু প্যাঁচাই। যদিও আমার লেখালেখির হাতেখড়ি আপ্র (http://forum.amaderprojukti.com/memberlist.php?mode=viewprofile&u=1094) থেকে তারপরও মাঝে মাঝে প্রথম আলো ব্লগেও মাঝেমাঝে ঢুঁ মারি। নিক আঁধার http://prothom-aloblog.com/users/base/adhar/p1 । আজকাল সচলদের অতিথি হতে ভাল লাগে। নিক অমাবস্যা। ইদানীং টিউরোটিয়াল বিডি'তে লেখার চেষ্টা করছি। গান শোনা, কবিতা পড়তে ভালবাসি। ভালবাসি ব্লাক কফি আর সিলেটের চা-পাতা । এক কথায় Im busy for nothing :)


লাইসেন্স:Licence
by-nc-nd (Creative Commons)

Blog Archive

My Blog List